Pyar Me Dard




Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai..


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai..


Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain..


Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain..


Agar mohabbat meri sachi hai
to ek din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai
to aey Khuda aasman ko bhi hila degi..


Na inkaar kar sakta hai
koi meri wafa se, mujhe yakin hai
Par tum sambhalna ek din meri
wafa tujhe bewafai ka sila degi..


Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya
par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha
na socha tha ke teri mohabbat daga degi..


Na bhula sakungi woh mohabbat
na voh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya degi
ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi..


Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein
to woh ek din, aayega zaroor
Jab meri yaad mein tu tarpega par
tab ’sabghat’ tujhe apni mohabbat na degi...


Dard Bhari Dastan



Us Ko Kisi Ne Rab Se Mang Liya

Lafzon Ki Justuju Mein Sub Kuch Ganwa Diya,
Wo Chal Diya Main Tarz-E-Ada Dhundti Rahi,
Us Ko Kisi Ne Rab Se Mang Liya Aur Main,
Sajde Mein Ghir Ke Harf-E-Dua Dhundti Rahi.


Aaj Fana Hone Ko Man Karta Hai

Peer Hai Itni Ki Rone Ko Man Karta Hai,
Aaj Fana Hone Ko Man Karta Hai,
Tu Aur Teri Mohabbat To Kho Gayi Humse,
Jo Bacha Hai Khone Ko Man Karta Hai,
Aa Chuka Hun Tang Zindagi Ki Ghutan Se,
Ab Maut Ke Aagosh Mein Sone Ko Man Karta Hai,
Ladke Tufaanon Se Jise Laya Tha Sahil Pe,
Jaane Kyun Aaj Wo Kashti Dubone Ko Man Karta Hai.


Shayad Humein Us Se Mohabbat Si Ho Gayi

Naam Us Ka Liya To Uljhne Si Ho Gayi,
Shayad Humein Us Se Mohabbat Si Ho Gayi,
Wo Karta Raha Badnaam Humein Logon Mein,
Humein Bhi Mashoor Hone Ki Aadat Si Ho Gayi,
Us Ke Aane Se Pehle Sari Kayenaat Mein Thi Khizan,
Us Ke Aane Ke Baad Duniya Mein Sajawat Si Ho Gayi,
Bichadte Waqt Kehne Laga Wo Mujh Se,
Hum Ko Tum Se Pyar Nahi Tha Bus Shararat Si Ho Gayi,
Jab Wo Bichda To Dil Ki Duniya Mein “Faraaz”,
Aesi Tufaan Utthe Ke Qayamat Si Ho Gayi.


Roshni Ke Liye Mera Dil Jalaaye Baithe Ho

Chala Main Jab Bhi Ek Kadam Teri Taraf,
Jaane Ye Faasla Kaise Aur Badh Gaya,
Main To Saath Hi Chalta Raha Tere,
Jaane Kaise Phir Tu Aage Nikal Gaya,
Tum To Mere Har Khwaabon Mein Baste The,
Tum To Har Pal Meri Baahon Mein Rehte The,
Kya Wajah Hai Jo Ab Tum Kareeb Nahin Aate,
Ab Kyon Dard Bankar Meri Aankho Se Behte Ho,
Shaam Ho Tanhaayi Ki, Ya Phir Raat Ho Siskiyon Ki,
Har Pal Haath Uthaa Kar Tujhe Hi Maanga Maine,
Gham Ne Kar Liya Hai Kaid Mujhe Is Andhere Me,
Par Tum To Roshni Ke Liye Mera Dil Jalaaye Baithe Ho,
Hontho Par Tere Rahe Hum Humesha Saans Ki Tarah,
Machalte Rahe Hum Tere Dil Mein Jazbaat Ki Tarah,
Ek Pal Bhi Ganwaara Nahin Hota Tumhe Dekhe Bagair,
Par Jaane Tum Kis Duniya Mein Apna Dil Lagaye Baithe Ho,
Use Tumhari Duniya Chhod Gaye Huye Zamane Par,
Ek Tum Ho Ke Ab Bhi Aas Lagaaye Baithe Ho.


Khafa Na Hona Mujhse Tum

Zindagi Yaadon Pe Basar Kab Talak Hogi,
Yun Charaagon Se Sahar Kab Talak Hogi,
Ek Roz To Tu Bhi Khafa Hoga Mujhse,
Ye Sath Inaayat Ki Nazar Kab Talak Hogi,
Koun Jaanta Hai Meri Rah-Guzar,
Teri Bhi Rah-Guzar Kab Talak Hogi.


Aaj Chahat Badnam Aur Gumnam Hai

Kuch Log Dilke Karib Aake Dhoka De Jaate Hai,
Kuch Log Dur Reh Ke Bhi Itna Yaad Aate Hai,
Kuch Log Pyar Mein Zuthi Kasmein Khaate Hai,
Kuch Log Mohabbat Mein Zuthe Wade Karte Hai,
Unhe Kya Pata Pyar Ek Sazda Aur Pooja Hai,
Kuch Log Yaha Chahat Ko Khilona Samjhte Hai,
Kuch Log Nahi Jante Chahat Kitna Rulati Hai,
Unhe Kya Pata Ye Chahat Hi Tadpati Hai,
Kuch Logo Ka Aaj Itna Karam Hai Ki,
Aaj Chahat Badnam Aur Gumnam Hai.


Per Kismat Ka Likha Hum Badal Nahi Sakte

Rona To Hum Bahoot Chahte Hai,
Per Taqdeer Dekho Hum Ro Nahi Sakte,
Dil Ko Hum Majboor Nahi Karna Chahte Hai,
Per Dil Ki Baat Zubaan Per Laa Nahi Sakte,
Aankho Se Hum Bahot Kuch Kehna Chahte Hai,
Per Humari Aankhein Palkon Ka Boz Utha Nahi Sakte,
Chahat To Hum Bahot Karna Chahte Hai,
Per Humari Chahat Koi Pehchaan Nahi Sakte,
Sub Ke Liye Hum Duaa To Bahoot Karte Hai,
Per Khudke Liye Hum Duaa Kar Nahi Sakte,
Rab Ko Kya Manzoor Hai Jaanana Chahte Hai,
Per Ye Rab Ki Manzoori Hum Jaan Nahi Sakte,
Kismat To Sabhi Likhwake Duniya Mein Aate Hai,
Per Kismat Ka Likha Hum Badal Nahi Sakte.