Us Ko Kisi Ne Rab Se Mang Liya
Lafzon Ki Justuju Mein Sub Kuch Ganwa Diya,
Wo Chal Diya Main Tarz-E-Ada Dhundti Rahi,
Us Ko Kisi Ne Rab Se Mang Liya Aur Main,
Sajde Mein Ghir Ke Harf-E-Dua Dhundti Rahi.
Aaj Fana Hone Ko Man Karta Hai
Peer Hai Itni Ki Rone Ko Man Karta Hai,
Aaj Fana Hone Ko Man Karta Hai,
Tu Aur Teri Mohabbat To Kho Gayi Humse,
Jo Bacha Hai Khone Ko Man Karta Hai,
Aa Chuka Hun Tang Zindagi Ki Ghutan Se,
Ab Maut Ke Aagosh Mein Sone Ko Man Karta Hai,
Ladke Tufaanon Se Jise Laya Tha Sahil Pe,
Jaane Kyun Aaj Wo Kashti Dubone Ko Man Karta Hai.
Shayad Humein Us Se Mohabbat Si Ho Gayi
Naam Us Ka Liya To Uljhne Si Ho Gayi,
Shayad Humein Us Se Mohabbat Si Ho Gayi,
Wo Karta Raha Badnaam Humein Logon Mein,
Humein Bhi Mashoor Hone Ki Aadat Si Ho Gayi,
Us Ke Aane Se Pehle Sari Kayenaat Mein Thi Khizan,
Us Ke Aane Ke Baad Duniya Mein Sajawat Si Ho Gayi,
Bichadte Waqt Kehne Laga Wo Mujh Se,
Hum Ko Tum Se Pyar Nahi Tha Bus Shararat Si Ho Gayi,
Jab Wo Bichda To Dil Ki Duniya Mein “Faraaz”,
Aesi Tufaan Utthe Ke Qayamat Si Ho Gayi.
Roshni Ke Liye Mera Dil Jalaaye Baithe Ho
Chala Main Jab Bhi Ek Kadam Teri Taraf,
Jaane Ye Faasla Kaise Aur Badh Gaya,
Main To Saath Hi Chalta Raha Tere,
Jaane Kaise Phir Tu Aage Nikal Gaya,
Tum To Mere Har Khwaabon Mein Baste The,
Tum To Har Pal Meri Baahon Mein Rehte The,
Kya Wajah Hai Jo Ab Tum Kareeb Nahin Aate,
Ab Kyon Dard Bankar Meri Aankho Se Behte Ho,
Shaam Ho Tanhaayi Ki, Ya Phir Raat Ho Siskiyon Ki,
Har Pal Haath Uthaa Kar Tujhe Hi Maanga Maine,
Gham Ne Kar Liya Hai Kaid Mujhe Is Andhere Me,
Par Tum To Roshni Ke Liye Mera Dil Jalaaye Baithe Ho,
Hontho Par Tere Rahe Hum Humesha Saans Ki Tarah,
Machalte Rahe Hum Tere Dil Mein Jazbaat Ki Tarah,
Ek Pal Bhi Ganwaara Nahin Hota Tumhe Dekhe Bagair,
Par Jaane Tum Kis Duniya Mein Apna Dil Lagaye Baithe Ho,
Use Tumhari Duniya Chhod Gaye Huye Zamane Par,
Ek Tum Ho Ke Ab Bhi Aas Lagaaye Baithe Ho.
Khafa Na Hona Mujhse Tum
Zindagi Yaadon Pe Basar Kab Talak Hogi,
Yun Charaagon Se Sahar Kab Talak Hogi,
Ek Roz To Tu Bhi Khafa Hoga Mujhse,
Ye Sath Inaayat Ki Nazar Kab Talak Hogi,
Koun Jaanta Hai Meri Rah-Guzar,
Teri Bhi Rah-Guzar Kab Talak Hogi.
Aaj Chahat Badnam Aur Gumnam Hai
Kuch Log Dilke Karib Aake Dhoka De Jaate Hai,
Kuch Log Dur Reh Ke Bhi Itna Yaad Aate Hai,
Kuch Log Pyar Mein Zuthi Kasmein Khaate Hai,
Kuch Log Mohabbat Mein Zuthe Wade Karte Hai,
Unhe Kya Pata Pyar Ek Sazda Aur Pooja Hai,
Kuch Log Yaha
Chahat Ko Khilona Samjhte Hai,
Kuch Log Nahi Jante Chahat Kitna Rulati Hai,
Unhe Kya Pata Ye Chahat Hi Tadpati Hai,
Kuch Logo Ka Aaj Itna Karam Hai Ki,
Aaj Chahat Badnam Aur Gumnam Hai.
Per Kismat Ka Likha Hum Badal Nahi Sakte
Rona To Hum Bahoot Chahte Hai,
Per Taqdeer Dekho Hum Ro Nahi Sakte,
Dil Ko Hum Majboor Nahi Karna Chahte Hai,
Per Dil Ki Baat Zubaan Per Laa Nahi Sakte,
Aankho Se Hum Bahot Kuch Kehna Chahte Hai,
Per Humari Aankhein Palkon Ka Boz Utha Nahi Sakte,
Chahat To Hum Bahot Karna Chahte Hai,
Per Humari
Chahat Koi Pehchaan Nahi Sakte,
Sub Ke Liye Hum Duaa To Bahoot Karte Hai,
Per Khudke Liye Hum Duaa Kar Nahi Sakte,
Rab Ko Kya Manzoor Hai Jaanana Chahte Hai,
Per Ye Rab Ki Manzoori Hum Jaan Nahi Sakte,
Kismat To Sabhi Likhwake Duniya Mein Aate Hai,
Per Kismat Ka Likha Hum Badal Nahi Sakte.