Mohabbat ki kashti mein sawaar thay hum,
Socha tha pohoch jayenge chahat ke gaun mein,
Doobne lage toh hosh aya,
Hum toh beithe thay kagaz ke naav mein.
Aisi Bewafai ki us bewafa ne,
K Mohabat b badnaam hogai…
Apni mohabat ki aisi keemat wasool ki usney…
K hamari qabar tak neelam hogai
Geele kagaz ki tarah hai zindgi apni,
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi.
Is kadar akele ho gaye hai hum ajkal,
Koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
vishwas banke log zindagi main aatey hai
khwab banke aankhon main samaa jaatey hai
pehle yakeen dilate hai ki woh hamare hai
phir na jaane kyu badal jaatey hai!!!
sau phool kam hai dulhan ko sajane ke liye,
ek phool kafi hai kabr par lagane ke liye,
sau khushiyan kam hai ek gham ko bhulane ke liye,
ek gham kafi hai sari umr rulane ke liye...!!!
phir bewafa ko dost bana baithe,
uski sadgi se fareb kha baithe,
pathoron se hai apna rishta purana,
phir bhi shishe ka ghar bana baithe...!!!
yaaron yeh duniya hai bedardo ki,
yaha har roz chhupana padta hai,
dil mein hai lakhon zakhm fir bhi ,
mehfil mein toh muskurana padta hai...!!!